giitaayan An Interface to ISB

dil kii duniyaa basaa ke saa.Nvariyaa - Amar Deep (1958)  

Lyrics: Rajinder Krishan | Music: C Ramchandra | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
(dil kii duniyaa basaa ke saa.Nvariyaa)-2 tum na jaane kahaa.n kho gaye, kho gaye saath rahanaa thaa saarii umariyaa duur naazaro.n se kyo.n ho gaye, ho gaye jaane vaale (jaane vaale, pataa teraa mai.n ne aatii jaatii bahaaro.n se puuchhaa)-2 (chup rahe jab zamiin ke nazaare aasamaan ke sitaaro.n se puuchhaa)-2 (sun ke baadal bhii merii kahaanii)-2 bebasii par merii ro gaye, ro gaye dil kii duniyaa ... ha.Ns rahaa hai (ha.Ns rahaa hai ye zaalim zamaanaa apanii khushiy.on kii mahafil sajaaye)-2 (mai.n akelii magar ro rahii huu.N terii yaado.n ko dil se lagaaye)-2 (bahate bahate ye aa.Nsuu bhii haare)-2 aake palako.n pe so gaye,so gaye dil kii duniyaa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.