madhuban me.n jo kanhaiyaa kisii gopii se mile
kabhii muskaaye, kabhii chhe.De kabhii baat kare
raadhaa kaise na jale, raadhaa kaise na jale
aag tan me.n lage
raadhaa kaise na jale, raadhaa kaise na jale
madhuban me.n bhale kaanhaa kisii gopii se mile
man me.n to raadhaa ke hii prem ke hai.n phuul khile
kis liye raadhaa jale, kis liye raadhaa jale
binaa soche samajhe
kis liye raadhaa jale, kis liye raadhaa jale
gopiyaa.N taare hai.n chaand hai raadhaa
phir kyo.n hai us ko vi{shh}vaas aadhaa
kaanhaa jii kaa jo sadaa idhar udhar dhyaan rahe
gopiyaa.N aanii-jaanii hai.n
raadhaa to man kii raanii hai
saa.Njh sakhaare, jamunaa kinaare
raadhaa raadhaa hii kaanhaa pukaare
baaho.n ke haar jo Daale koii kaanhaa ke gale
raadhaa kaise na jale ...
man me.n hai raadhe ko kaanhaa jo basaaye
to kaanhaa kaahe ko use na basaaye
prem kii apanii alag bolii alag bhaashhaa hai
baat naino.n se ho, kaanhaa kii yahii aashaa hai
kaanhaa ke ye jo nainaa nainaa hai.n
chhiine.n gopiyo.n ke chainaa hai.n
milii najariyaa huii baa.Nvariyaa
gorii gorii sii koii gujariyaa
kaanhaa kaa pyaar kisii gopii ke man me.n jo pale
kis liye raadhaa jale, raadhaa jale, raadhaa jale
radhaa kaise na jale
|