giitaayan An Interface to ISB

ruuTh ke tum to chal di_e - Jalti Nishaani (1957)  

Lyrics: Qamar Jalalabadi | Music: Anil Biswas | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
ruuTh_ke tum to chal di_e, ab mai.n duaa ko kyaa karuu.N jisane hame.n judaa kiyaa, aise Khudaa ko kyaa karuu.N jiine kii aarazuu nahii.n, haal na puuchh chaaraagar dard hii ban gayaa davaa, ab mai.n davaa ko kyaa karuu.N sunake merii sadaa-e-Gam, ro diyaa aasamaan bhii tum tak na jo pahu.Nch sake, aisii sadaa ko kyaa karuu.N agar tuu hai meraa Khudaa, sun le ye merii iltajaa lauT aae meraa dilarubaa, lauT aae meraa dilarubaa phir na kabhii kahuu.Ngii mai.n, aise Khudaa ko kyaa karuu.N
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.