giitaayan An Interface to ISB

aaj achaanak TuuT gaye kyo.n, man viinaa ke taar - Kinare Kinare (1963)  

Lyrics: Nyay Sharma | Music: Jaidev | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
aaj achaanak TuuT gaye kyo.n, man viinaa ke taar (man viinaa ke taar)-4 ghuma.D-ghuma.D kar ghir-ghir aaii, duHkh kii ghor ghaTaaye.n dil kahataa hai man hii man me.n, ghuT-ghuT kar mar jaaye.n (aramaano.n kaa jalaa baseraa)-2 aa.Nsuu hai.n laachaar aa.Nsuu hai.n laachaar re aa.Nsuu hai.n laachaar man viina ke taar ... laharo.n me.n patavaar ? kar, maa.njhii kaa ? dhaaraa duubii naiyyaa,duubii aashaa, duubaa duur kinaaraa (kis se kahuu.N mai.n mere khevaiyaa ?)-2 le chal nadiyaa paar le chal nadiyaa paar re man viinaa ke taar ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.