giitaayan An Interface to ISB

bhaiyaa mere raakhii ke ba.ndhan ko nibhaanaa - Chhoti Behan (1959)  

Lyrics: Shailendra | Music: Shankar-Jaikishan | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
bhaiyaa mere, raakhii ke ba.ndhan ko nibhaanaa bhaiyaa mere, chhoTii bahan ko na bhulaanaa dekho ye naataa nibhaanaa, nibhaanaa bhaiyaa mere... ye din ye tyohaar khushii kaa, paavan jaise niir nadii kaa bhaa_ii ke ujale maathe pe, bahan lagaae ma.ngal Tiikaa jhuume ye saavan suhaanaa, suhaanaa bhaiyaa mere... baa.Ndh ke hamane resham Dorii, tum se vo ummiid hai jo.Dii naazuk hai jo daa.Nt (?) ke jaise, par jiivan bhar jaae na to.Dii jaane ye saaraa zamaanaa, zamaanaa bhaiyaa mere... shaayad vo saavan bhii aae, jo bahanaa kaa ra.ng na laae bahan paraae desh basii ho, agar vo tum tak pahu.Nch na paae yaad kaa diipak jalaanaa, jalaanaa bhaiyaa mere...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.