giitaayan An Interface to ISB

daaman me.n daag lagaa baiThe - Dhool Ka Phool (1959)  

Lyrics: Sahir | Music: N Dutta | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
vafaa ke naam pe kitane gunaah hote hai.n vo un se puuchhe koii jo tabaah hote hai.n daaman me.n daag lagaa baiThe ham pyaar me.n dhokhaa khaa baiThe haay re, haay re chhoTii sii bhuul javaanii kii jo tum ko yaad na aayegii us bhuul ke taane de de kar duniyaa ham ko ta.Dapaayegii uThate hii nazar jhuk jaayegii aaj aisii Thokar khaa baiThe ham pyaar me.n ... chaahat ke liye jo rasmo.n ko Thukaraa ke guzarane vaale the jo saath hii jiine vaale the aur saath hii marane vaale the tuufaa.N ke havaale kar ke hame.n khud duur kinaare jaa baiThe ham pyaar me.n ... lo aaj merii majabuur vafaa badanaam kahaanii banane lagii lo prem nishaanii paaii thii vo saaK nishaanii banane lagii duHkh de ke hame.n jiivan bhar kaa vo sukh kii sej sajaa baiThe ham pyaar me.n ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.