kaal kaa pahiyaa ghuume bhaiyaa
laakh tarah insaan chale
le ke chale baaraat kabhii to
kabhii binaa saamaan chale
raam kR^ishhN hari ...
janak kii beTii avadh kii raanii
siitaa bhaTake ban ban me.n
raah akelii raat andherii
magar ratan hai.n daaman me.n
saath na jis ke chalataa ko_ii
us ke saath bhagavaan chale
raam kR^ishhN hari ...
haay rii qismat kR^ishhN kanhaiyaa
svaad na jaane maakhan kaa
ha.Nsii churaaye phuulo.n kii vo
ka.ns hai maalii upavan kaa
bhuul na paapii magar paap kii
jyaadaa nahii.n dukaan chale
raama kR^ishhN hari ...
ajab hai kaisii prabhu kii maayaa
maalaa se biChu.Daa daanaa
Dhuu.NDhe jise man saamane hai vo
jaaye na lekin pahachaanaa
kaise vo maalik dikhe tujhe jab
saath tere abhimaan chale
raama kR^ishhN hari ...
karm agar achchhaa hai teraa
qismat terii daasii hai
dil hai teraa saaf to pyaare
ghar me.n mathuraa kaashii hai
sachchaa_ii kii raah chalo re
jab tak jiivan praaN chale
raama kR^ishhN hari ...
|