giitaayan An Interface to ISB

kaisii hasiin aaj bahaaro.n kii raat hai - Aadmi (1968)  

Lyrics: Shakeel | Music: Naushad | Singer(s): Rafi, Mahendra Kapoor / Rafi, Talat 
View in Nagari (Hindi)
ra: kaisii hasiin aaj bahaaro.n kii raat hai ek chaa.Nd aasamaa.n pe hai ek mere saath hai ma : dene vale tuu ne to koii kamii na kii ab kis ko kyaa milaa ye muqaddar kii baat hai ra : chhaaya hai husn-o-ishq pe ek ra.ng-e-beKudii aate hai.n zi.ndagii me.n ye aalam kabhii kabhii har Gham bhuul jaao khuushii kii baaraat hai ek chaa.Nd aasamaa.n pe hai ek mere saath hai ma : aaii hai vo bahaar ki naGame ubal pa.De aisii khuushii hai ki aa.Nsuu nikal pa.De ho.nTho.n pe hai.n duaae.n magar dil pe haath hai ab kis ko kyaa milaa ye muqaddar kii baat hai ra : mastii simaT ke pyaar ke gulashan me.n aa gaii ma : merii khuushii bhii aap ke daaman me.n aa gaii bha.Nvaraa kalii se duur nahii.n saath saath hai
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.