koii jo milaa to mujhe aisaa lagataa thaa jaise
merii saarii duniyaa me.n
giito.n kii rut aur ra.ngo.n kii barakhaa hai
khushabuu kii aa.Ndhii hai
mahakii huii sii ab saarii fazaaye.n hai.n
bahakii huii sii ab saarii havaaye.n hai.n
khoii huii sii ab saarii dishaaye.n hai.n
badalii huii sii ab saarii adaaye.n hai.n
jaagii uma.nge.n hai.n dha.Dakar rahaa hai dil
saa.Nso.n me.n tuufaa.N hai, ho.NTho.n pe naGame.n hai.n
aa.Nkho.n me.n sapane hai.n
sapano.n me.n biite hue saare vo lamhe.n hai.n
jab koii aayaa thaa, nazaro.n pe chhaayaa thaa, dil me.n samaayaa thaa
kaise mai.n bataa_uu.N tumhe.n kaise use paayaa thaa
pyaare se chehare pe bikharii jo zulfe.n to aise lagataa thaa jaise
kohare ke piichhe ek os me.n dhulaa huaa phuul khilaa
jaise baadal me.n ek chaa.Nd chhupaa hai aur jhaa.Nk rahaa hai
jaise rat ke parde me.n ek saveraa hai
roshan roshan aa.Nkho.n me.n sapano.n kaa saagar jis me.n
prem sitaaro.n kii chaadar jaise
jhalak rahii hai laharo.n laharo.n baat kare.n to jaise motii barase
jaise kahii.n chaa.Ndii kii paayal guu.Nje
jaise kahii.N shiishaa-e-jaam gire aur chhan se TuuTe
jaise koii chupake se sitaar bajaaye, jaise koii chaa.Ndanii raat me.n gaaye
jaise koii haule-se paas bulaaye
kaisii miiThii baate.n thii.n vo, kaisii mulaaqaate.n thii.n vo
jab mai.n ne jaanaa thaa, nazaro.n se kaise pighalate hai.n dil
aur aarazuu paatii hai kaise ma.nzil
aur kaise utarataa hai chaa.Nd zamii.n par
kaise kabhii lagataa hai svarg agar hai to bas yahii.n par
usane bataayaa mujhe aur samajhaayaa mujhe
ham jo mile hai.n hame.n aise hii milanaa tha
gul jo khile hai.n inhe.n aise hii khilanaa thaa
janamo.n ke bandhan, janamo.n ke rishte hai.n
jab bhii ham janame.n to ham yahii.n milate hai.n
kaano.n me.n mere jaise shahad-sii ghulane lage
Kvaabo.n kii duniyaa bhii kitanii hasii.n aur kaisii ra.ngii.n thii
Kvaabo.n kii duniyaa jo kahane ko thii, par kahii.n bhii nahii.n thii
Kvaab jo TuuTe mere, aa.Nkhe.n jo khulii merii
hosh jo aayaa mujhe, mai.n ne dekhaa mai.n ne jaanaa
vo jo kabhii aayaa thaa, nazaro.n pe chhaayaa thaa
dil me.n samaayaa thaa
jaa bhii chukaa hai aur dil meraa ab tanhaa-tanhaa
na to koii aramaa.N hai na koii tamannaa hai
aur na koii sapanaa hai, ab jo mere din aur ab jo merii raate.n hai.n
un me.n sirf aa.Nsuu hai.n, un me.n sirf ra.nj kii baate.n hai.n
aur fariyaade.n hai.n, meraa ab koii nahii.n
mai.n huu.N aur khoye hue pyaar kii yaade.n hai.n
mai.n huu.N aur khoye hue pyaar kii yaade.n hai.n
mai.n huu.N aur khoye hue pyaar kii yaade.n hai.n
|