giitaayan An Interface to ISB

kuchh yaad rahe to sun kar jaa - Jawab (1942)  

Lyrics: Bekal | Music: Kamal Dasgupta | Singer(s): Kanan Devi 
View in Nagari (Hindi)
kuchh yaad rahe kuchh yaad rahe to sun kar jaa haa.N kar jaa, yaa naa kar jaa tuu haa.N kar jaa, yaa naa kar jaa (kuchh yaad rahe to sun kar jaa)-2 (tuu haa.N kar jaa, yaa naa kar jaa)-2 (bhuul sake to bhuul hii jaanaa kyaa bhuulii huu.N, bhuul bataanaa)-2 dard diyaa jo dard diyaa hai, lekar jaa (tuu haa.N kar jaa, yaa naa kar jaa)-2 (kyaa svapn rahegaa, svapn jo dekhaa kaise bataauu.N kyaa kyaa dekhaa)-2 dekhuu.N kuchh tere dekhuu.N kuchh aisaa kar jaa (tuu haa.N kar jaa, yaa naa kar jaa)-2 (tum paas the, phir bhii duur rahe majabuur the ham, majabuur rahe)-2 kyaa samjhuu.N mai.n kyaa samajhuu.N, samajhaakar jaa (tuu haa.N kar jaa yaa naa kar jaa)-2
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.