hasiino.n kii gaa.Dii me.n aashiq kaa gho.Daa
bedard kismat ke haatho.n ne jodaa
{muhabbat jataa ke aa.Nkhe.n la.Daa ke
chale aa rahe hai.n hajaamat karaa ke, hoy!
chale aa rahe hai.n hajaamat karaa ke} -2
kahaa mai.n ne us se muhabbat karuu.Ngaa
tumhaare liye hii jiyuu.Ngaa maruu.Ngaa
ho jiyuu.Ngaa maruu.Ngaa
faTaafaT diyaa haay re
faTaafaT diyaa ek chaa.NTaa jamaa ke
chale aa rahe hai.n hajaamat karaa ke...
{kahaa mai.n ne dil ko hathelii pe rakh ke
ye anamol motii hai le lo parakh ke
ji le lo parakh ke} -2
vo chalate bane
- achchhaa ji?
chalate bane dil ko Thokar lagaa ke
chale aa rahe ...
kahaa thaa buzurgo.n ne dil naa lagaanaa jii dil na lagaanaa
jii dil na lagaanaa
muhabbat kii garmii se daaman bachaanaa
ho daaman bachaanaa ho daaman bachaanaa
magar ab to baiThe
magar ab to baiThe hai.n daaman jalaa ke
chale aa rahe ...
|