giitaayan An Interface to ISB

o varshaa ke pahale baadal - Meghdoot (1945)  

Lyrics: Faiyyaz Hashmi | Music: Kamal Dasgupta | Singer(s): Jagmohan 'Sursagar' 
View in Nagari (Hindi)
o varShaa ke pahale baadal, meraa sa.ndesaa le jaanaa o varShaa ke pahale baadal, meraa sa.ndesaa le jaanaa a.Nsuvan kii buu.Ndan barasaakar (2) alkaa nagarii me.n tum jaakar, khabar merii pahu.Nchaanaa o varShaa ke pahale baadal, meraa sa.ndesaa le jaanaa maalabhuumi aur amrakuuT se vi.ndhyaachal narmadaa ko jaanaa, vidishaa nagarii aur betawaa tak hokar aage paa.Nv ba.Dhaanaa aag virah kii jahaa.N bhii paanaa (2) baras-baras kar use bujhaanaa o varShaa ke pahale baadal, meraa sa.ndesaa le jaanaa dekh a.Ndheraa dekh a.Ndheraa piyaa-milan ko chalegii chhup kar koii gorii path me.n tum bijalii chamakaakar khol na denaa, khol na denaa, khol na denaa usakii chorii birahan ko tum jahaa.N bhii paanaa, use kabhii na sataanaa o varShaa ke pahale baadal, meraa sa.ndesaa le jaanaa ujjainii me.n mahaakaal kaa ma.ndir jab tum paao pujaarino.n kaa naach dekhakar pujaarino.n kaa naach dekhakar apanaa man bahalaao par tum unake a.ng-Dha.ng ko dekh aTak na jaao (2) shipraa me.n naa chambal me.n naa kuruxetra me.n rukanaa ka.nkhal me.n na ga.ngaa kii laharo.n ko chuumane jhukanaa aTal himaalay pe cha.Dhake phir yuu.N mu.Danaa kailaash kii or jyuu.N cha.ndaa ko dekh ke pyaare, gagan ko chuume jaaye chakor alkaa me.n phir Dhuu.NDh use tum, meraa sa.ndes sunaanaa o varShaa ke pahale baadal, meraa sa.ndesaa le jaanaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.