giitaayan An Interface to ISB

bha.nvaro naa tab tak ha.Nsanaa re - Lalkar (1944)  

Lyrics: Pt. Madhur | Music: C Ramchandra | Singer(s): Zohra Bai, G M Durrani 
View in Nagari (Hindi)
gmd: (bha.nvaro, naa) - 2 tab tak ha.Nsanaa re jab tak naa kaliyaa.N ha.ns de.n za: kyuu.N pa.nchhii shor machaate kyuu.N priit giit ye gaate (papiihaa naa) - 2 pii pii kahanaa re jab tak naa koyaliyaa ha.ns de gmd: ham unake ghar pe aaye.n wo hame.n dekh chhup jaaye.n (ai paa.nv) - 2, na tum thak jaanaa re jab tak naa galiyaa.N ha.ns de.n za: meraa man ruuThaa jaa_e ko_ii.n kyuu.N hame.n manaa_e maa.njhii naa khenaa naiyaa re jab tak naa nadiyaa ha.ns de gmd: man chhiinaa duurii duurii ye kaisii hai majabuurii saavan aise ha.ns degaa saavan aise ha.ns degaa re jab tak naa chi.Diyaa.N ha.ns de.n za: o ho ga_ii jiit tumhaarii aakhir mai.n, aakhir mai.n tum se haarii ab aashaa_o.n se kah do ab aashaa_o.n se kah do re ban kar dulhaniyaa ha.ns de both: ha.ns ha.ns kar haa haa ... (ha.ns ha.ns kar ham the roye ro ro kar ham the khoye) - 2 bhuule se man ko kah do (bhuule se man ko kah do re ab bhiigii a.nkhiyaa.N ha.ns de.n) - 2
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.