maalik tere jahaa.N me.n, itanii(kitanii ?) bade jahaa.N me.n
(koii nahii.n hamaaraa)-2
maalik tere jahaa.N me.n
ab kis kii dwaar jaauu.N
dukh me.n kise bulaauu.N
sab ? gaye kinaaraa
koii nahii.n hamaaraa
maalik tere jahaan me.n
kis haal me.n bhii dekho
Thukaraa rahii hai duniyaa
(ham par banii to ham se takaraa rahii hai duniyaa)-2
naa aas naa dilaasaa
sab to hai ik tamaashaa
jhuuTaa hai har sahaara
koii nahii.n hamaaraa
maalik tere jahaa.N me.n
sar pe ? paayaa
mujh se biccha.D gaye hai.n
(ummiid ke vo motii, aa.Nsuu me.n dhal gaye hai.n)-2
kyaa raat kyaa saveraa
haatho.n pahar a.ndheraa
TuuTaa har ek taaraa
koii nahii.n hamaaraa
(maalik tere jahaa.N me.n, itanii bade jahaa.N me.n)-2
(koii nahii.n hamaaraa)-2
maalik tere jahaa.N me.n
|