giitaayan An Interface to ISB

pa.nchhii merii Kushii kaa zamaanaa - Chand (1944)  

Lyrics: Qamar Jalalabadi | Music: Husnlal-Bhagatram | Singer(s): Zeenat Begum 
View in Nagari (Hindi)
(pa.nchhii merii khushii kaa (zamaanaa kahaa.N gayaa) -2 ) - 2 aa.Nkho.n ne jo likhaa wo (fasaanaa kahaa.N gayaa) - 2 (ab unako roKane kii zaruurat bhii paD gayii) - 2 wo mere ruuThane kaa (bahaanaa kahaa.N gayaa) - 2 (mai.n dil se puuchhatii huu.N (kahaa.N hai meraa suhaag) - 2) - 2 (dil mujh se puuchhataa hai (diwaanaa kahaa.N gayaa) - 2) - 2 (tuu merii qaid me.n hai to (mai.n Gam kii qaid me.n) - 2) - 2 wo teraa giit meraa (taraanaa kahaa.N gayaa) - 2
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.