giitaayan An Interface to ISB

phir chhe.Dane aaii hai vo kaali badariyaa - Rasiya  

Lyrics: D N Madhok | Music: Bulo C Rani | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
(phir chhe.Dane aaii hai vo kaali badariyaa)-2 ab tum hii kaho haa.N ab tum hii kaho, kaise mai.n sambhaluu.N saa.nvariyaa phir chhe.Dane aaii hai vo kaali badariyaa phir chhe.Dane aaii hai (daaman me.n badariyaa ke hai.n, saavan kii ghaTaaye.n)-2 (khaamosh zabaanii me.n jo ye tujhako sunaaye.n)-2 ai ruuThe hue o~ ai ruuThe hue sabr kii chalakii hai gagariyaa phir chhe.Dane aaii hai vo kaali badariyaa phir chhe.Dane aaii hai (is rut me.n jo ruuThe, vo kabhii chai.n naa paaye)-2 (saavan kabhii jiivan me.n, phir uske na aaye)-2 lag jaaye use o~ lag jaaye use kaali badariyaa kii nazariyaa phir chhe.Dane aaii hai vo kaali badariyaa phir chhe.Dane aaii hai
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.