giitaayan An Interface to ISB

saajan kii galiyaa.N chho.D chale - Bazaar (1949)  

Lyrics: Qamar Jalalabadi | Music: Shyam Sundar | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
saajan kii galiyaa.N chho.D chale dil royaa aa.Nsuu beh naa sake ye jiinaa bhii koii jiinaa hai ham unako apanaa keh naa sake saajan kii galiyaa.N jab unase bichha.D kar aane lage -2 ruk ruk ke chale chal chal ke ruke lab kaa.Npe aa.Nkhe.n bhar aayii kuchh kehanaa chaahaa keh naa sake saajan kii galiyaa.N chho.D chale dil royaa aa.Nsuu beh naa sake saajan kii galiyaa.N unake liye unako chho.D diyaa khud apane dil ko to.D diyaa ham unake dil me.n rehate the unake qadamo.n me.n reh naa sake saajan kii galiyaa.N chhoD chale dil royaa aa.Nsuu beh naa sake saajan kii galiyaa.N saajan hai.n wahaa.N aur ham hai.n yahaa.N aise dil ko le jaaye.n kahaa.N jo paas bhii unake reh naa sake aur dard-e-judaaii seh naa sake saajan kii galiyaa.N chho.D chale dil royaa aa.Nsuu beh naa sake saajan kii galiyaa.N
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.