giitaayan An Interface to ISB

so jaa dukhiyaare dukhiyaa ke pyaare - Sahaaraa (1958)  

Lyrics: Bharat Vyas | Music: Hemant Kumar | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
(so jaa dukhiyaare, dukhiyaa ke pyaare dukh teraa koii jaane naa)-2 chhup ho jaa re, ab naa rulaare tuu hii hai, is dukhiyaa kaa dhan tuu hii hai, mere sukh kaa chaman naino.n kii jyotii, mamataa kaa motii maiyyaa kaa dil naa dukhaare chhup ho jaa re, ab naa rulaare so jaa dukhiyaare, dukhiyaa ke pyaare jiivan me.n aayaa tuufaan -2 ruuTh gayaa hamase bhagavaan qismat ne khelaa, chaayaa andheraa jiiye ham kis ke sahaare so jaa dukhiyaare, dukhiyaa ke pyaare dukh teraa koii jaane naa chhup ho jaa re, ab naa rulaare -2
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.