aashaa: Takaraa gaye do baadal ambar pe
to barasane lage buunde.n bikhar ke
Takaraa gaye do
vinod ##(speaking)##:
maushumii, kitanaa pyaaraa naam hai ye
is naam kaa saath to har mausam se hai
chaahe wo sardii kaa ho yaa garmii kaa
patajha.D kaa yaa saawan kaa
aashaa: aahaa! chho.Do jaao, ba.De wo ho tum
naam meraa jo.D diyaa, mausam se sanam
mausam phir bhii, mausam hai sanam
naam mera jo.Daa na bataa Kud se kyo.n balam
mujhase milaao ye nain to
aise na jalaao mere man ko
Takaraa gaye do
vinod ##(speaking)##:
ye saawan kaa mausam to Kuubasuurat hai hii
lekin tumhaarii is Kuubasuurat umar ne
ise aur bhii Kuubasuurat banaa diyaa hai
aashaa: jaane aaii kaisii ye umar
ban ke kalii khilane lagii
suunii raah par
tan me.n man me.n, uThii ye lahar
tujhase sajan Takaraae man, jaauu.N mai.n bikhar
aag lage re saawan ko, chhoo gayaa mere daaman ko
Takaraa gaye do baadal ambar pe
to barasane lage buunde.n bikhar ke
Takaraa gaye do
|