tumhaare dil kii duniyaa ko
nazar me.n leke jaa_uu.Ngaa
karogii yaad kuchh aisii
nishaanii deke jaa_uu.Ngaa
tumhaare husn par miT kar
divaanaa ban ke aayaa huu.N
tumhe bhii ishq me.n apane
divaanaa kar ke jaa_uu.Ngaa
suno ai ruup kii raanii
qasam terii, muhabbat kii
agar jaanaa paDaa mujhako
tumhe.n bhii leke jaa_uu.Ngaa
tumhe.n jab tak na dekhaa thaa
tamannaa_e.N na thii ko_ii
magar ab sab tamannaa_o.n ko
puuraa kar ke jaa_uu.Ngaa
|