giitaayan An Interface to ISB

chandaniyaa nadiyaa biich nahaaye - Anjaan (1956)  

Lyrics: Rajinder Krishan | Music: Hemant Kumar | Singer(s): Hemant 
View in Nagari (Hindi)
chandaniyaa nadiyaa biich nahaaye o shiital jal me.n aag lagaaye ke chandaa dekh dekh muskaaye ho raamaa ho raamaa ho puuchh rahii hai lahar lahar kaun hai ye matavaalii puuchh rahii hai lahar lahar kaun hai ye matavaalii tan kii gorii cha.nchal chhorii gende kii ek daalii ooo~~~oo~~~o~~ ruup kii cha.Dhatii dhuup sunahara ra.ng aaj barasaaye ho raamaa ho raamaa ho chandaniyaa nadiyaa biich nahaaye o shiital jal me.n aag lagaaye ke chandaa dekh dekh muskaaye ho raamaa ho raamaa ho parabat parabat ghuum ke aayii ye alabelii dhaaraa parabat parabat ghuum ke aayii ye alabelii dhaaraa kyaa jaane kis aasamaan se TuuTaa hai ye taaraa ooo~~~oo~~~o~~ sholaa banake phuul ka.nval kaa jal me.n bahataa jaaye ho raamaa ho raamaa ho chandaniyaa nadiyaa biich nahaaye o shiital jal me.n aag lagaaye ke chandaa dekh dekh muskaaye ho raamaa ho raamaa ho
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.