giitaayan An Interface to ISB

chho.D do aa.nchal zamaanaa kyaa kahegaa - Paying Guest (1957)  

Lyrics: Majrooh | Music: S D Burman | Singer(s): Asha, Kishore 
View in Nagari (Hindi)
A: chho.D do aa.nchal zamaanaa kyaa kahegaa chho.D do aa.nchal zamaanaa kyaa kahegaa k: (in adaao.n kaa zamaanaa bhii hai.n diivaanaa diivaanaa kyaa kahegaa ) - (2) A: chho.D do aa.nchal zamaanaa kyaa kahegaa A: mai.n chalii mai.n chalii ab khuub chhe.Do pyaar ke afasaane kuchh mausam hai.n diivaanaa kuchh tum bhii ho diivaane (2) k: zaraa sunanaa jaan-e-tamannaa (2) itanaa to sochiye mausam suhaanaa kyaa kahegaa A: chho.D do aa.nchal ... A: yuu.N na dekho jaag jaae pyaar kii a.nga.Daaii ye rastaa ye tanahaaI lo dil ne Thokar khaaii k: yahii din hai.n mastii ke sin hai.n (2) kisako ye hosh hai apanaa begaanaa kyaa kahegaa A: chho.D do aa.nchal ... A: ye bahaare.n ye phuvaare.n ye barasataa saavan thar thar kaa.Npe hai.n tan man merii bayyaa.N dhar lo saajan k: ajii aanaa dil me.n samaanaa (2) ek dil ek jaan hai.n ham tum zamaanaa kyaa kahegaa A: chho.D do aa.nchal ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.