giitaayan An Interface to ISB

dam bhar jo udhar mu.Nh phere, o chandaa - Awara (1951)  

Lyrics: Shailendra | Music: Shankar-Jaikishan | Singer(s): Lata, Mukesh 
View in Nagari (Hindi)
% The magic of b&w movies is captured beautifully in this song, Raj % Kapoor and Nargis on a boat, the moon shining on them making every- % -thing look ethereal. lataa: dam bhar jo udhar mu.Nh phere dam bhar jo udhar mu.Nh phere, o chandaa mai unase pyaar kar luu.ngii, baate.n hazaar kar luu.Ngii dil karataa hai pyaar ke sajade - 2 aur mai.n bhii unake saath chaa.Nd ko chandaa roz hii dekhe merii pahalii raat, ho ... merii pahalii raat baadal me.n ab chhup jaa re o chandaa mai unase pyaar kar ... mukesh: dam bhar jo idhar mu.Nh phere dam bhar jo idhar mu.Nh phere, o chandaa mai unase pyaar kar luu.Ngaa, nazare.n to chaar kar luu.Ngaa mai chor huu.N kaam hai chorii - 2 duniyaa me.n huu.N badanaam dil ko churaataa aayaa huu.N mai.n yehii meraa kaam, ho ... yehii meraa kaam aanaa tuu gavaahii dene o chandaa mai unase pyaar kar luu.Ngaa, nazare.n to chaar kar luu.Ngaa lataa: dil ko churaake kho mat jaanaa - 2 raah na jaanaa bhuul in kadamo.n se kuchal naa denaa mere dil kaa phuul, ho ... mere dil kaa phuul ye baat unhe.n samajhaa de o chandaa mai unase pyaar kar luu.Ngii ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.