giitaayan An Interface to ISB

aahe.n na bharii.n shikave na kie - Zeenat (1945)  

Lyrics: Nakshab | Music: Hafiz Khan | Singer(s): Noorjehan, Zohrabai Ambalewali, Kalyani 
View in Nagari (Hindi)
% aahe.n na bharii.n shikave na kie kuchh bhii na zubaa.N se kaam liyaa is par bhii muhabbat chhup na sakii jab teraa kisii ne naam liyaa ham dil ko paka.D kar baiTh gae haatho.n se kalejaa thaam liyaa puuchhaa jo kisii ne haal to ham kuchh kah na sake kuchh kah bhii gae roke to bahut aa.Nsuu lekin kuchh ruk bhii gae kuchh bah bhii gae afasaanaa kahaa aur lab na hile ashko.n se zubaa.N kaa kaam liyaa roke se bhalaa kyaa dil rukataa duniyaa ko ta.Dap_kar ta.Dapaataa sach puuchhiye vo to Khair huii mahafil me.n tamaashaa ban jaataa kuchh aap adaae.N rok gae kuchh zabt se hamane kaam liyaa go laakh tumhaare zulm sahe par aa.Nkh se aa.Nsuu bah na sakaa biimaar-e-mohabbat ai naqshab kuchh aur to mu.Nh se kah na sakaa ik lambii-sii ThaNDii saa.Ns bharii chupake-se kisii kaa naam liyaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.