dhuaa.N banake fizaa ne u.Daa diyaa mujhako
mai.n jal rahaa thA kisii ne bujhaa diyaa mujhako
kha.DA huu.N aaj bhI roTii ke chaar harq liye
savaal ye hai kitaabo.n ne kyA diyaa mujhako
safed sa.ng kii chaadar lapeT kar mujh par
fasil-e-shahar me.n kisane sajaa diyaa mujhako
mai.n ek zarraa bulandii ko chhuune nikalaa thA
havaa ne thaam ke zamii.n par giraa diyaa mujhako
##
Dictionary : 1. fiza - environment
2. hurf - words
3. sung - stone
4. faseel-e-shaher - boundary of city
5. zurra - small particle
6. bulundi - height
##
|