giitaayan An Interface to ISB

aaj dil pe koii zor chalataa nahii.n - Milan (1967)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
aaj dil pe koI zor chalataa nahii.n muskuraane lage the magar ro pa.De roz hii kii tarah aaj bhii dard thaa ham chhupaane lage the magar ro pa.De aur ab kyaa kahe.n, kyaa huaa hai hame.n tum to ho bekhabar, ham bhii anjaan hai.n bas yahI jaan lo to bahut ho gayaa ham bhii rakhate hai.n dil, ham bhii insaan hai.n muskuraate hue ham bahaanaa koI fir banaane lage the magar ro pa.De hai.n sitaare kahaa.N itane aakaash par har ek ko agar ik sitaaraa mile kashtiyo.n ke liye ye bha.nvar bhii to hai.n kyaa zaruurI hai har ek ko kinaaraa mile bas yahI soch kar ham ba.Dhe chain se Duub jaane lage the magar ro pa.De umr bhar kaash ham yuu.n hii rote rahe aaj kyuu.n ke hame.n ye huI hai khabar muskuraahaT kii to koI kImat nahii.n aa.Nsuo.n se huI hai hamaarI kadar baadalo.n kii tarah ham to barase binaa lauT jaane lage the magar ro pa.De
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.