giitaayan An Interface to ISB

dil-e-naadaan, zamaane me.n muhabbat ek dhokhaa hai - Mast Qalandar (1955)  

Lyrics: Asad Bhopali | Music: Hansraj Behl | Singer(s): Talat, Asha 
View in Nagari (Hindi)
dil-e-naadaan zamaane me.n muhabbat ek dhokhaa hai ye sab kahane kii baate.n hai.n, kisii kaa kaun hotaa hai vahii mai.n huu.N, vahii dil hai, vahii terii tamannaa hai ye ik ilzaam hai mujhape, ki meraa pyaar jhuuThaa hai vafaa kaa naam ho.nTho.n par hai kha.njar aasatiino.n me.n samajh le dekhane vaalo ye duniyaa kaisii duniyaa hai dil-e-naadaan ... vo dil viiraan hai jisame.n hazaaro.n aarazuu_e.n thii jaahaa.N laakho.n diye jalate the us ghar me.n andheraa hai vahii mai.n huu.N ... vo dil par choT khaayii hai ki jiite jii na bhuuluu.Ngaa bharosaa kar ke tumape mai.n ne apanaa chain khoyaa hai dil-e-naadaan ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.