giitaayan An Interface to ISB

diye jalate hai.n, phuul khilate hai.n, ba.Dii mushkil se magar - Namak Haraam (1973)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: R D Burman | Singer(s): Kishore 
View in Nagari (Hindi)
diye jalate hai.n, phUl khilate hai.n ba.Dii mushkil se magar, duniyaa me.n log milate hai.n jab jis vaqt kisiikaa, yaar judaa hotaa hai.n kuchh naa pUchho yaaro.n dil kaa, haal buraa hotaa hai dil pe yaado.n ke jaise, tiir chalate hai.n diye ... daulat aur javaanii, ek din kho jaatii hai, sach kahataa huu.N, saarii duniyaa dushman ban jaatii hai umr bhar dost lekin, saath chalate hai.n diye ... is ra.Ng-dhuup pe dekho, haragij naaz naa karanaa, jaan bhii maa.Nge, yaar to de denaa, naaraaz naa karanaa ra.Ng u.D jaate hai.n, dhuup Dhalate hai.n diye ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.