giitaayan An Interface to ISB

do buu.Nde saavan kii haay do buu.Nde saavan kii - Phir Subah Hogi (1958)  

Lyrics: Sahir | Music: Khayyam | Singer(s): Asha 
View in Nagari (Hindi)
do buu.Nde saavan kii haay do buu.Nde saavan kii ek saagar kii siip me.n Tapake aur motii ban jaaye duujii gande jal me.n girakar apana aap gavaaye kisako mujarim samajhe koI kisako doshh lagaaye do buu.Nde saavan kii do kaliyaa.N gulashan kii haay do kaliyaa.N gulashan kii ek sehare ke biich gu.ndhe aur man hii man itaraaye ek arthii ke bhe.nT cha.Dhe aur dhuuli me mil jaaye kisako mujarim samajhe koI kisako doshh lagaaye - 2 do kaliyaa.N saavan kii do sakhiyaa.N bachapan kii haay do sakhiyaa.N bachapan kii ek si.nhaasan par baiThe aur ruupamatii kahalaaye duujii apane ruup ke kaaraN galiyo.n me bik jaaye kisako mujarim samajhe koI kisako doshh lagaaye do sakhiyaa.N bachapan kii
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.