giitaayan An Interface to ISB

ek shahanshaah ne banavaa ke hasii.n taajamahal - Leader (1964)  

Lyrics: Shakeel | Music: Naushad | Singer(s): Lata, Rafi 
View in Nagari (Hindi)
ek shahanshaah ne banavaa ke hasI.n taajamahal saarii duniyaa ko muhabbat kii nishaanii dii hai isake saaye me sadaa pyaar ke charche ho.nge khatm jo ho naa sakegii vo kahaanii dii hai ek shahanshaah ne banavaake ... taaj vo shammaa hai ulfat ke sanam khaane kii jisake paravaano me mufalis bhii zaradaar bhii hai sa.ng-e-maramar me samaae hue khvaabo.n kii qasam marahale pyaar ke aasaan bhii dush{}vaar bhii hai.n dil ko ek josh iraado.n ko javaanii dii hai ek shahanshaah ne banavaake ... taaj ik zindaa tasavvur hai kisii shaayar kaa isaka afasaanaa hakiikat ke sivaa kuchh bhii nahii isake aagosh me aakar ye gumaa.n hotaa hai zindagii jaise muhabbat ke sivaa kuchh bhii nahii taaj ne pyaar kii maujo.n ko ra_vaanii dii hai ek shahanshaah ne banavaake ... ye hasI.n raat ye mahakii huii puranUr fazaa ho ijaazat to ye dil ishq kaa izahaar kare ishq insaan ko insaan banaa detaa hai kisakii himmat hai muhabbat se jo inakaar kare aaj takadIr ne ye raat suhaanii dii hai ek shahanshaah ne banavaake ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.