giitaayan An Interface to ISB

gardish me.n ho.n taare, na ghabaraanaa pyaare - Reshmi Roomal (1961)  

Lyrics: Raja Mehdi Ali Khan | Music: Babul | Singer(s): Mukesh 
View in Nagari (Hindi)
gardish me.n ho.n taare, na ghabaraanaa pyaare Gar tuu himmat na haare, to ho.nge vaare nyaare gardish me.n ho.n taare... mujhako merii aashaa, detii hai dilaasaa -2 aaye.ngii bahaare.n chalii jaaegii Kizaa ho, aasmaa.n ye niilaa-niilaa kare hai ishaare gardish me.n ho.n taare... baazuo.n me.n dam hai, phir kaahe kaa Gam hai -2 apane iraade hai.n, uma.nge.n hai.n javaa.n ho, mushile.n kahaa.N hai.n, umhe.n meraa dil pukaare gardish me.n ho.n taare... duniyaa hai saraay, rahane to kahm aae -2 aayaa hai to ha.Nsii-khushii rah le tuu yahaa.N ho, suramaa hai zi.ndagii jo kaa.NTo.n me.n guzaare gardish me.n ho.n taare...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.