giitaayan An Interface to ISB

haath siine pe jo rakh do to qaraar aa jaae - Mirza Sahiban (1947)  

Lyrics: Aziz Kashmiri | Music: Pt Amarnath, Husnlal-Bhagatram | Singer(s): G M Durrani, Noorjehan 
View in Nagari (Hindi)
g: haath siine pe jo rakh do to qaraar aa jaae -2 dil ke uja.De hue gulshan me.n bahaar aa jaae -2 n: dil to kahataa hai ki aa.Nkho.n me.n chhupaa luu.N tujhako -2 Dar yahii hai ki muqaddar ko nakaar aa jaae -2 g: haath siine pe jo rakh do to qaraar aa jaae g: dil ke zakhmo.n pe mere pyaar kaa mar.hham rakh do -2 beqaraarii to mujhe kuchh to qaraar aa jaae -2 haath siine pe jo rakh do to qaraar aa jaae n: yuu.N Kudaa ke li_e chhiino na mere hosh-o-havaas -2 aisii nazaro.n se na dekho ki Kumaar aa jaae g: haath siine pe jo rakh do to qaraar aa jaae g: chho.D ke tum bhii chale jaaogii qismat kii tarah -2 baad-azaane to ajal hii ko na pyaar aa jaae -2 haath siine pe jo rakh do to qaraar aa jaae dil ke uja.De hue gulshan me.n bahaar aa jaae
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.