% This one is from one of Dev's earlier movies - Solvah Saal
% (1958). Hemant's melodious voice again.. Hemant's songs are all very
% simple - has a simple tune, background music is simple. The lyrics of
% all his songs are simple superb.
%
% Here is the happy version of 'hai apna dil..', there is a sad
% version that Dev sings alone.
%
% The scene in this song is - Dev and Waheeda in a train, with
% Dev singing and Waheeda acting as if she irritated by him.
%
% Another 'mast gaana' :)
%
% bye
% satish
%
hai apanaa dil to aavaaraa, na jaane kis pe aayegaa
hasiino.n ne bulaayaa, gale se bhii lagaayaa
bahut samajhaayaa, yahii na samajhaa
bahut bholaa hai bechaaraa, na jaane kis pe aayegaa
hai apanaa dil to aavaaraa ...
ajab hai diivaanaa, na ghar naa Thikaanaa
zamii.n se begaanaa, phalak se judaa
ye ek TuuTaa huaa taaraa, na jaane kis pe aayegaa
hai apanaa dil to aavaaraa ...
zamaanaa dekhaa saaraa, hai sab kaa sahaaraa
ye dil hii hamaaraa, huaa na kisii kaa
safar me.n hai ye ba.njaaraa, na jaane kis pe aayegaa
hai apanaa dil to aavaaraa ...
huaa jo kabhii raazii, to milaa nahii.n kaazii
jahaa.N pe lagii baazii, vahii.n pe haaraa
zamaane bhar kaa naakaaraa, na jaane kis pe aayegaa
hai apanaa dil to aavaaraa ...
% The song has a "sad" tandem. The lyrics for this follow
% courtesy Srinivas Ganti, Prithvi Dasgupta & the "Hemantada" series
hai apanaa dil to aavaaraa
na jaane kis pe aa_egaa ...
(rukegaa na rukaa hai na jaane dhun hii kyaa hai
kabhii ye rastaa hai kabhii vo rastaa) - 2
phire hai dar badar maaraa
na jaane kis pe aa_egaa ...
(kisiise ye milaa thaa bataa_e ko_ii kyaa thaa
bedaarii kaa samaa thaa ke thaa vo sapanaa) - 2
Kud apane dard se haaraa
na jaane kis pe aa_egaa ...
|