giitaayan An Interface to ISB

ik ghar banaauu.ngaa, tere ghar ke saamane - Tere Ghar Ke Samne (1963)  

Lyrics: Hasrat | Music: S D Burman | Singer(s): Rafi, Lata 
View in Nagari (Hindi)
dev : chaahe aasamaan TuuT pa.De chaahe dharatii phuuT jaaye chaahe hastii hI kyo.n na miT jaaye phir bhii mai.n ... nUtan: phir bhii mai.n? rafii : tere ghar ke saamane ik ghar banaauu.ngaa, tere ghar ke saamane duniyaa basaauu.ngaa, tere ghar ke saamane ik ghar banaauu.ngaa, tere ghar ke saamane lataa : ghar kaa banaanaa koii, aasaan kaam nahii.n duniyaa basaanaa koii, aasaan kaam nahii.n rafii : dil me.n vafaaye.n ho.n to, tuufaa.n kinaaraa hai bijalii hamaare liye, pyaar kaa ishaaraa hai tan man luTaauu.ngaa, tere ghar ke saamane duniyaa basaauu.ngaa, tere ghar ke saamane ik ghar banaauu.ngaa, tere ghar ke saamane lataa : kahate hai.n pyaar jise, dariyaa hai aag kaa yaa phir nashaa hai koii, jiivan ke raag kaa rafii : dil me.n jo pyaar ho to, aag bhii phuul hai sachchii lagan jo ho to, parbat bhii dhuul hai taare sajaauu.ngaa, tere ghar ke saamane duniyaa basaauu.ngaa, tere ghar ke saamane ik ghar banaauu.ngaa, tere ghar ke saamane lataa : kaa.nTo.n bhare hai.n lekin, chaahat ke raaste tum kyaa karoge dekhe.n, ulafat ke vaaste rafii : ulafat me taaz chhuuTe, ye bhii tumhe.n yaad hoga ulafat me taaz bane, ye bhii tumhe.n yaad hoga mai.n bhii kuchh banaauu.ngaa lataa : huu.N rafii : tere ghar ke saamane lataa : dekhe.n rafii : duniyaa basaauu.ngaa, tere ghar ke saamane ik ghar banaauu.ngaa, tere ghar ke saamane
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.