giitaayan An Interface to ISB

jaane chale jaate hai.n kahaa.N, duniyaa se jaanevaale - Pushpanjali (1970)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Mukesh 
View in Nagari (Hindi)
jaane chale jaate hai.n kahaa.N, duniyaa se jaanevaale, jaane chale jaate hai.n kahaa.N, kaise DhU.nDhe koI unako, nahI.n kadamo.n ke bhii nishaa.n (jaane hai vo - 2) kaun nagariyaa, aaye jaaye khat naa khabariyaa, aaye jab jab unakii yaade.n, aaye hoTho.n pe fariyaade.n, jaake phir naa aane vaale jaane chale jaate hai.n kahaa.N ... (mere bichha.De - 2) jiivan saathii, saathii jaise dIpak baatii, mujhase bichha.D gaye tum aise, saavan ke jaate hii jaise, u.Dake baadal kaale kaale, jaane chale jaate hai.n kahaa.N duniyaa se jaanevaale, jaane chale jaate hai.n kahaa.N, kaise DhU.nDhe koI unako, nahii.n kadamo.n ke bhii nishaa.n jaane chale jaate hai.n kahaa.N ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.