giitaayan An Interface to ISB

jab diip jale aanaa, jab shaam Dhale aanaa - Chitchor (1976)  

Lyrics: Ravindra Jain | Music: Ravindra Jain | Singer(s): Yesudas, Hemlata 
View in Nagari (Hindi)
jab diip jale aanaa, jab shaam Dhale aanaa sandes milan kaa bhuul na jaanaa meraa pyaar naa bisaraanaa jab diip jale aanaa ... nit saa.njh savere milate hai.n unhe.n dekhake taare khilate hai.n lete hai.n vidaa ek duuje se kahate hai.n chale aanaa jab diip jale aanaa ... % ni re ga, re ga, pa ga re sa sa ni % pa pa ma^, re (ga) , sa ni sa ga pa ma^ pa % where ma^ is the tiivra madhyam and (ga) is re ga pa re ga in one beat. nii re ga, re ga, ma ga re sa sa nii pa pa ma, re ga, sa nii sa ga pa ma pa mai.n palakan Dagar buhaaruu.ngaa terii raah nihaaruu.ngaa merii priit kaa kaajal tum apane naino.n me.n male aanaa jab diip jale aanaa ... jahA.n pahalI baar mile the ham jis jagah se sa.ng chale the ham nadiyA ke kinAre aaj usI amavA ke tale aanaa jab diip jale aanaa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.