giitaayan An Interface to ISB

jahaa.N chaar yaar mil jaaye.n - Sharaabi (1984)  

Lyrics: Prakash Mehra | Music: Bappi Lahiri | Singer(s): Kishore, Amitabh 
View in Nagari (Hindi)
jahaa.N chaar yaar mil jaaye.n ,vahii.n raat ho gulazaar jahaa.N chaar yaar mahafil ra.Ngiin jame ... mahafil ra.Ngiin jame, daur chale dhuum mache nazar dekhe naye chamatakaar, jahaa.N chaar yaar... ##One o'clock, in my house, there was a cat, there was a mouse## khel rahe the, Da.nDaa gillii, chuuhaa aage, piichhe billii chuuhe ko pa.D gaye, jaan ke laale, bolaa mujhako, ko_ii bachaa le chuuhaa aage, piichhe billii, piichhe billii, chuuhaa aage chuuhaa aage, piichhe billii... haa! ba.nd jharokaa, ba.nd thii khi.Dakii, biga.Dii hu_ii thii haalat usakii mere paas thaa bharaa gilaas, pii gayaa chuuhaa saarii ##whiskey## aka.D ke bolaa kahaa.N hai billii, dum dabaake billii bhaagii chuuhe kii phuuTii kismat jaagii dum dabaake billii bhaagii, chuuhe kii phuuTii kismat jaagii... haa khel ##risky## thaa ... khel ##risky## thaa, ##whiskey## ne kiyaa be.Daa paar khel ##risky## thaa ... mahafil ra.Ngiin jame, daur chale dhuum mache nazar dekhe naye chamatakaar, jahaa.N chaar yaar... ek thaa ##husband##, ek thii ##wife##, ##miserable## thii unakii ##life## ##drunkard husband, fighter wife##, dhiire-dhiire shauhar aka.Daa roz ke jhaga.De, roz ke lafa.De, lafa.De jhaga.De aur jhaga.De lafa.De lafa.De jhaga.De, jhaga.De lafa.De, jhaga.De lafa.De, lafa.De jhaga.De biivii kii thii ek sahelii, usane usako kuchh samajhaayaa tab biivii kii samajh me.n aayaa, raat ko shauhar pii ke aayaa daravaaze par phir chillaayaa, aa ii o uu us din biivii ban ga_ii bholaa, ku.nDii kholii ha.Ns ke bolii jaan-e-tamannaa, a.ndar aao, pahale to kuchh khaao vaao phir bistar par ho.ngii baate.n ba.De pyaar se kaTe.ngii raate.n shauhar chau.nkaa, bhuule se mai.n yah kis ke ghar aa gayaa, yaar? merii biivii mujhe kabhii bhii nahii.n de sakatii itanaa pyaar! shauhar bistar chho.D ke bhaagaa, ku.nDii taalaa to.D ke bhaagaa bhaagaa re bhaagaa re bhaagaa re bhaagaa re, haa! bolaa devii maaf kiijie, mere saath zaraa inasaaf kiijie mujh ko apane ghar jaanaa hai, varanaa biivii phir maaregii us din biivii hosh me.n aaii, ba.nd ho ga_ii saarii la.Daaii nafarat haarii ulfat jiitii, luTii khushii phir lauT ke aaii aaii re aaii re aaii re aaii re, haa! phir biivii ne itanaa diyaa pyaar piinaa chhuuT gayaa phir dono.n aise mile pyaar me.n hii Duub gae pyaar agar mile to har nashaa hai bekaar jahaa.N chaar yaar ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.