giitaayan An Interface to ISB

jiivan ke safar me.n raahii, milate hai.n bichha.D jaane ko - Munimji (1955)  

Lyrics: Sahir | Music: S D Burman | Singer(s): Kishore 
View in Nagari (Hindi)
jiivan ke safar me.n raahii, milate hai.n bichha.D jaane ko aur de jaate hai.n yaade.n, tanahaaii me.n ta.Dapaane ko jiivan ke safar... ye ruup kii daulat vaale, kab sunate hai.n dil ke naale taqadiir na bas me.n Daale, inake kisii diivaane ko jiivan ke safar... jo inakii nazar se khele, dukh paae musiibat jhele phirate hai.n ye sab alabele, dil leke mukar jaane ko jiivan ke safar... dil leke daGaa dete hai.n, ik rog lagaa dete hai.n ha.Ns-ha.Ns ke jalaa dete hai.n, ye husn ke paravaane ko jiivan ke safar... ab saath na guzare.nge ham, lekin ye fizaa raato.n kii doharaayaa karegii haradam, is pyaar ke afasaane ko jiivan ke safar... % Lata's version --- ro-ro ke inhii.n raaho.n me.n, khonaa pa.Daa ek apane ko ha.Ns-ha.Ns ke inhii.n raaho.n me.n apanaayaa thaa begaane ko tum apanii nayii duniyaa me.n kho jaao paraaye ban kar jii paaye.n to jii le.nge ham, marane kii sazaa paane ko
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.