giitaayan An Interface to ISB

aaj is darjaa pilaa do ke na kuchh yaad rahe - Vaasna (1968)  

Lyrics: Sahir | Music: Chitragupt | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
(aaj is darjaa pilaa do ke na kuchh yaad rahe)-2 beKudii itanii ba.Dhaa do ke na kuchh yaad rahe aaj is darjaa pilaa do ke na kuchh yaad rahe dostii kyaa hai, wafaa kyaa hai muhabbat kyaa hai dil kaa kyaa mol hai ehasaas kii kiimat kyaa hai hamane sab jaan liyaa hai ke haqiiqat kyaa hai aaj bas itanii du_aa do ke na kuchh yaad rahe aaj is darjaa pilaa do ke na kuchh yaad rahe mufalisii dekhii, amiirii kii adaa dekh chuke Gam kaa maahaul, masarrat kii Kizaa dekh chuke kaise phiratii hai zamaane kii hawaa dekh chuke shammaa yaado.n kii bujhaa do, ke na kuchh yaad rahe aaj is darjaa pilaa do ke na kuchh yaad rahe ishq bechain Kyaalo.n ke siwaa ke kuchh bhii nahii.n husn beruuh ujaalo.n ke siwaa kuchh bhii nahii.n zi.ndagii cha.nd sawaalo.n ke siwaa kuchh bhii nahii.n har sawaal aise miTaa do ke na kuchh yaad rahe aaj is darjaa pilaa do ke na kuchh yaad rahe miT na paa_egaa jahaa.N se kabhii nafarat kaa riwaaj ho na paa_egaa kabhii ruuh ke zaKmo.n kaa ilaaj (saltanat zulm, Kudaa waham musiibat hai samaaj)-2 zahan ko aise sulaa do ke na kuchh yaad rahe aaj is darjaa pilaa do ke na kuchh yaad rahe beKudii itanii ba.Dhaa do ke na kuchh yaad rahe aaj is darjaa pilaa do ke na kuchh yaad rahe
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.