giitaayan An Interface to ISB

aaj kyo.n ham se pardaa hai - Sadhna (1958)  

Lyrics: Sahir | Music: N Dutta | Singer(s): Rafi, S Balbir, Chorus 
View in Nagari (Hindi)
aaj kyo.n ham se pardaa hai, pardaa hai jii aaj kyo.n ham se pardaa hai -3 aaj kyo.n ham se pardaa hai pardaa hai jii aaj kyo.n ham se pardaa hai teraa har ra.ng hamane dekhaa hai teraa har Dha.ng hamane dekhaa hai paas aakar bhii tujhako dekhaa hai duur jaakar bhii tujhako dekhaa hai tujhako har tarah aazamaayaa hai paake khoyaa hai khoke paayaa hai a.Nkha.Diyo.n kaa bayaa.N samajhate hai.n dha.Dakano.n kii zabaa.N samajhate hai.n chuu.Diyo.n kii khanak se vaaqif hai.n jhaa.Njhano.n kii jhanak se vaaqif hai.n naaz-o-a.ndaaz jaanate hai.n ham teraa har raaz jaanate hai.n ham - phir ? aaj kyo.n ham se pardaa hai pardaa hai jii aaj kyo.n ham se pardaa hai ... dil dukhaane se faayadaa kyaa hai mu.Nh chhupaane se faayadaa kyaa hai ulajhii-ulajhii laTe.n sa.Nvaarake aa husn ko aur bhii nikhaarake aa narm gaalo.n me.n bijaliyaa.N lekar shoK aa.Nkho.n me.n titaliyaa.N lekar
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.