giitaayan An Interface to ISB

guzare hai.n is tarah se duniyaa me.n din hamaare - Bahaanaa (1960)  

Lyrics: Rajinder Krishan | Music: Madan Mohan | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
guzare hai.n is tarah se duniyaa me.n din hamaare bhiige rahe.n hameshaa aa.Nkho.n ke do kinaare siine se ra.nj-o-Gam ko hamane lagaa ke rakhaa majabuuriyo.n ko dil hii dil me.n chhupaa ke rakhaa karate bhii kyaa ai qisamat, tere sitam ke maare guzare hai is tarah se hasarat bharii kahaanii, kissaa hai bekasii kaa likhaa hai aa.Nsuu_o.n se afasaanaa zi.ndagii kaa kuchh naa kisii se kahanaa, ai merii bezubaanii Gardish nasiib kii hai, kyaa doSh hai kisii kaa TuuTe chamak-chamak kar taqadiir ke sitaare guzare hai is tarah se ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.