giitaayan An Interface to ISB

ek bholii\-bhaalii gaa.Nv kii raanii - Gaon Ki Rani?  

Lyrics:  | Music: Salil Chowdhury | Singer(s): Hemant 
View in Nagari (Hindi)
ek bholii-bhaalii gaa.Nv kii raanii jisakii kahaanii aa_o sunaaye.n suno pake dhaan kaa khet kha.Daa balakhaa khaa ke laharaaye o.Dh chunariyaa hariyaalii kii dharatii hai muskaaye wahaa.N banii ek sundar kuTiyaa mahalo.n ko sharmaaye usme.n rahatii ek matawaalii sundar raanii jisakii kahaanii aa_o sunaaye.n suno kuTiyaa hii sab kuchh hai usakii kuTiyaa hii sab kuchh hai wo aate-jaate raahii paate aage ba.Dhane kii himmat ko gaa.Nv kii raanii piyaa ke path me.n baiThii bichhaaye aa.Nkho.n ko saa.Njh diip ne milaa diye aur dekh rahaa is madhur-milan ko aisii gaa.Nv kii raanii jisakii kahaanii aa_o sunaaye.n suno nii.nd parii ke jaaduu ne jab luTaa diye sapane anamol lagii luuTane saarii duniyaa apanii man-mastii me.n Dol par haay vidhaataa ruup badal kar gaa.Nv ke aa.Ngan aa_ii bholii-bhaalii mukha.Daa dekh apane aap se voh sharamaa_ii jo kuchh karanaa thaa karanaa aur chillaa uThii jaag ke duniyaa kaal par gayaa kaal kaal par gayaa kaal Daakan-jogan aa_ii pishaachan chhaa_ii ghaTaae.n kaali-kaalii re maut ke saaz pe pralay raaginii baaj rahii matawaalii re milaa Kaaq me.n gaa.Nv salonaa Gam ne manaa_ii diiwaalii re shaanti ga_ii sukh-chain gayaa sone se bharaa saa wo khet gayaa Daakan-jogan aa_ii pishaachan chhaa_ii ghaTaae.n kaali-kaalii re kahaa.N ga_ii wo saa.Njh suhaanii kahaa.N paxio.n kaa gaanaa kahaa.N gayaa wo madhur-milan aur kahaa.N Kushii se bharaa zamaanaa kyuu.N uge ho ab chaa.Nd salone kyaa lene ab aaye sitaare chale gaye wo chho.D ke duniyaa jinako the tum ba.De hii pyaare har gaa.Nv kii TuuTii diiware.n kahatii hai.n aaj kahaanii merii god me.n banii samaadhi kitanii kuTiyaa kitanii raanii
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.