giitaayan An Interface to ISB

udhar hai husn ka jalawaa ... terii marazii hai jahaa.N - Gharbaar (1953)  

Lyrics: Indeevar | Music: Vasant Prabhu | Singer(s): Talat, Asha 
View in Nagari (Hindi)
## prelude ## ta: udhar hai husn ka jalawaa idhar hai ishq jawaa.N aa: ye bahaaro.n kaa samaa.N ye muhabbat kaa jahaa.N aa: terii marazii hai jahaa.N mujhe le chal tuu wahaa.N chho.D sakatii huu.N muhabbat ke liye dono.n jahaa.N ta: terii aa.Nkho.n me.n ghar apanaa basaa liyaa mai.nne tujhe paayaa to zamaane ko paa liyaa mai.nne aa: tujhe paayaa to zamaane ko paa liyaa mai.nne ta: tujhe paayaa to zamaane ko paa liyaa mai.nne aa: mere maathe kaa hai Tiikaa tere qadamo.n kaa nishaa.N ta: ye bahaaro.n kaa samaa.N ye muhabbat kaa jahaa.N aa: terii marazii hai jahaa.N mujhe le chal tuu wahaa.N chho.D sakatii huu.N muhabbat ke liye dono.n jahaa.N aa: ghar me.n jo rahataa thaa mehamaan ban gayaa dil kaa roshanii aa.Nkho.n kii aramaan ban gayaa dil kaa ta: roshanii aa.Nkho.n kii aramaan ban gayaa dil kaa aa: roshanii aa.Nkho.n kii aramaan ban gayaa dil kaa ta: zindagii bhii hai hasii.n aur tamannaa bhii hai jawaa.N aa: terii marazii hai jahaa.N mujhe le chal tuu wahaa.N ta: ye bahaaro.n kaa samaa.n ye muhbaat kaa jahaa.N do: nahii.n maaluum ke dil ko liye jaataa hai kahaa.N nahii.n maaluum ke dil ko liye jaataa hai kahaa.N
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.