giitaayan An Interface to ISB

haath aayaa hai jab se teraa haath me.n - Dil Aur Mohabbat (1968)  

Lyrics: Shevan Rizvi | Music: O P Nayyar | Singer(s): Asha, Mahendra Kapoor 
View in Nagari (Hindi)
aashaa: haath aayaa hai haath aayaa hai jab se tera haath me.n aa gayaa hai nayaa rang jazabaat me.n mai.n kahaa.N huu.N mujhe ye Kabar hii nahii.n tere qadamo.n pe hii gir na jaa_uu.N kahii.n haath aayaa hai dil me.n nazaro.n se chup chup ke aayaa hai tuu dil churaa ke meraa muskuraayaa hai tuu tu kahe to mai.n #x#2 ek baat tujh se kahuu.N meraa saathii nahii.n balki saayaa hai tuu #x#2 u.ngaliyaa.N jab zamane kii mujh par uThe kho na jaanaa kahii.n aise haalaat me.n roshanii zi.ndagii me.n muhabbat se hai varanaa rakha hai kyaa chaa.Ndanii raat me.n haath aayaa hai mahendra: dil ke jazabaat ko mai.n na Thukaraa_uu.ngaa balki tasaviir-e-jazabaat ban jaa_uu.ngaa aashaa: oh ho haa haa haa mahendra: haq muhabbat kaa aashaa: oh ho ho o o mahendra: haq muhabbat kaa hotaa hai kaise adaa vaqt aayaa to mai.n ye bhii dikhalaa_uu.ngaa #x#2 aashaa: pyar ke devataa ke qadam chuum kar zi.ndagii nazar kar duu.ngii sauGaat me.n ab na ghabaraao ma.nzil kii duurii se tum tum akele nahin mai.n bhii huu.N saath me.n haath aayaa hai
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.