giitaayan An Interface to ISB

aa.Nsuu ab tum kabhii na bahanaa - Kaafilaa (1952)  

Lyrics: Brajendra Gaud | Music: Husnlal-Bhagatram | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
(aa.Nsuu ab tum kabhii na bahanaa)-2 (apanaa dard kisii se na kahanaa)-2 aa.Nsuu ab tum kabhii na bahanaa dil kaa lahuu jab aa.Nkho.n me.n aaye aa.Nsuu banakar Dhalakaa jaaye (log lahuu ko paanii samajhe)-2 tum palako.n me.n chhupake rahanaa aa.Nsuu ab tum kabhii na bahanaa apanaa dard kisii se na kahanaa aa.Nsuu ab tum kabhii na bahanaa priit ke sapane, sapanaa ho gaye maut kii nii.nd me.n aramaan so gaye angaaro.n kii maalaa pahanuu.N luT gayaa sukh suhaag kaa gahanaa aa.Nsuu ab tum kabhii na bahanaa apanaa dard kisii se na kahanaa aa.Nsuu ab tum kabhii na bahanaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.