giitaayan An Interface to ISB

aapake pahaluu me.n aakar ro diye - Mera Saaya (1966)  

Lyrics: Raja Mehdi Ali Khan | Music: Madan Mohan | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
aapake pahaluu me.n aakar ro diye - 2 daastaan-e-Gam sunaakar ro diye aapake pahaluu me.n aakar ro diye zindagii ne kar diyaa jab bhii udaas aa gaye ghabaraa ke ham ma.nzil ke paas sar jhukaayaa, sar jhukaakar ro diye aapake pahaluu me.n aakar ro diye shaam jab aa.Nsuu bahaatii aa ga_ii - 2 har taraf Gam kii udaasii chhaa ga_ii diip yaado.n ke jalaakar ro diye aapake pahaluu me.n aakar ro diye Gam judaaii kaa sahaa jaataa nahii.n aapake bin ab rahaa jaataa nahii.n pyaar me.n kyaa-kyaa ga.Nvaakar ro diye daastaan-e-Gam sunaakar ro diye aapake pahaluu me.n aakar ro diye
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.