giitaayan An Interface to ISB

do zulmii nainaa.n maar gae - Aai Bahar (1946)  

Lyrics: D N Madhok | Music: Amarnath | Singer(s): S D Batish 
View in Nagari (Hindi)
do zulmii nainaa.n maar gae vo jiit gae ham haar gae mai.n kaa karuu.n kuchh vo Dare.n duniyaa se kuchh mai.n Daruu.n zaKamii dil le kar jaa_uu.n kahaa.n, koii bole yaa hame.n banaa le apanaa yaa meraa ho le jug jug vo jii_e.n jag me.n aur mai.n maruu.n kuchh vo Dare.n duniyaa se kuchh mai.n Daruu.n do zulmii nainaa.n maar gae vo jiit gae ham haar gae mai.n kaa karuu.n ik rog niraalaa ham ne paalaa, kayaa karuu.n bataa de koii sunne waalaa ro ro pukaare dil nai.no.n ne maaraa sukh me.n kaTe.n din mere hai koii payaaraa jug jug vo jii_e.n jag me.n aur mai.n maruu.n kuchh vo Dare.n duniyaa se kuchh mai.n Daruu.n do zulmii nainaa.n maar gae vo jiit gae ham haar gae mai.n kaa karuu.n
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.