dil hii dil me.n sulagake bujhe ham aur sahe Gam duur hii duur
tumase kaun sii aas ba.Ndhii thii tumase rahe ham duur hii duur
tumane hamako jab bhii dekhaa, ???lab the yaa Kaamosh
yuu.N to aksar roye lekin chhup chhup kam kam duur hii duur
ek wo aan ki unakii zaraa sii baat gawaaraa kar naa sake
ek ye haal ki yaad me.n unakii ro_e paiham duur hii duur
% paiham = lagaataar
tark-e-talab par Kush the ki aakhir kaam liyaa daanaa_ii se
kisako Kabar hai jalate rahe tum jalate rahe ham duur hii duur
% tark-e-talab = ichchhaa/chaahat/talab kaa tyaag
% daanaa_ii = samajhdaarii, ##wisdom##
|