giitaayan An Interface to ISB

chaa.Nd apanaa safar Khatm karataa rahaa - Shamaa (1981)  

Lyrics: Zafar Gorakhpuri | Music: Usha Khanna | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
chaa.Nd apanaa safar Katm karataa rahaa shamaa jalatii rahii raat Dhalatii rahii chaa.N apanaa safar Katm karataa rahaa shamaa jalatii rahii raat Dhalatii rahii dil me.n yaado.n ke nashtar se TooTa kie ek tamannaa kalejaa masalatii rahii chaa.Nd apanaa safar Katm karataa rahaa shamaa jalatii rahii raat Dhalatii rahii badanasiibii sharaafat kii dushman banii saj sa.nvar ke bhii dulahan na dulahan banii Tiikaa maathe pe ik daaG banataa gayaa meha.ndii haatho.n se shole ugalatii rahii chaa.Nd apanaa safar Katm karataa rahaa shamaa jalatii rahii raat Dhalatii rahii Kvaab palako.n se gir kar fanaa ho gae do qadam chalake tum bhii judaa ho gae merii haarii thakii aa.Nkh se raat din ik nadii aa.Nsuuo.n kii ubalatii rahii chaa.Nd apanaa safar Katm karataa rahaa shamaa jalatii rahii raat Dhalatii rahii subah maa.ngii to Gam kaa a.ndheraa milaa mujh ko rotaa sisakataa saveraa milaa mai.n ujaalo.n kii naakaam hasarat lie umr bhar mom ban kar pighalatii rahii chaa.Nd apanaa safar Katm karataa rahaa shamaa jalatii rahii raat Dhalatii rahii cha.nd yaado.n kii parachhaa_io.n ke sivaa kuchh bhii paayaa na tanahaa_io.n ke sivaa vaqt merii tabaahii pe ha.Nsataa rahaa ra.ng taqadiir kyaa kyaa badalatii rahii chaa.Nd apanaa safar Katm karataa rahaa shamaa jalatii rahii raat Dhalatii rahii dil me.n yaado.n ke nashtar se TooTa kie ek tamannaa kalejaa masalatii rahii chaa.Nd apanaa safar Katm karataa rahaa shamaa jalatii rahii raat Dhalatii rahii
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.