giitaayan An Interface to ISB

man ma.ndir ke devataa raakho laaj hamaarii - Lakhon Mein Ek (Pakistan) (1967)  

Lyrics: Fayyaz Hashmi, Tanvir Naqvi, Masroor Anwar | Music: Nisar Bazmi | Singer(s): Noorjehan 
View in Nagari (Hindi)
{aalaap} man ma.ndir ke devataa-2 raakho laaj hamaarii man ma.ndir ke devataa asuan maalaa leke pujaaran-2 aa_ii sharan tihaarii man ma.ndir ke devataa raakho laaj hamaarii man ma.ndir ke devataa {jag kaa rishtaa jhuuThaa rishtaa saa.Ns ke sa.ng hii ChuuTe}-2 priit kaa ba.ndhan aisaa ba.ndhan mar ke bhii nahii.n TuuTe dono.n rishte kaise nibhaa_uu.N-2 laakh jatan kar haarii man ma.ndir ke devataa raakho laaj hamaarii man ma.ndir ke devataa {tan kaa maalik bas ye chaahe man me.n aag lagaa duu.N}-2 ek ma.ndir me.n karuu.N mai.n puujaa ek ma.ndir ko Dhaa duu.N apane man se kaise miTaa duu.N bolo yaad tumhaarii man ma.ndir ke devataa raakho laaj hamaarii man ma.ndir ke devataa o devataa -4
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.